Best Pakistani National Song Live by Fariha Pervaiz | Youn Di Hami Azadi K Dunya Hui Hairan Ae Qaid e Azam Tera Ehsan Hay

2015-12-21 156

Really best picturized black & while Pakistani national song lyric

یوں دی ہمیں آزادی کہ دنیا ہوئ حیران
Youn di hamain azaadi k duniya hui hairaan
Aaey Qauid e Azam tera ehsaan hai ehsan

Tera ehsan hai, tera ehsan
Tera ehsan hai, tera ehsan

Har simt musalmaano pe chaai thi tabaahi
Mulk apna tha aur ghairon ke hathon mein thi shaahi
Aise mein utha Deen-e-Muhammad ka sipaahi
Aur naarah e takbeer se di tu ne gawaahi
Islam ka jhanda liye aaya sar-e-maidaan
Aey Qauid-e-Azam tera ehsaan hai ehsaan
Tera ehsan hai, tera ehsan

Dekha tha jo Iqbal ne ek khuwaab suhaana
Us khuwaab ko ek roz haqeeqat hai banaana
Yeh socha jo tu ne to hansa tujh pe zamaana
Har chaal se chaaha tujhe dushman ne haraana
Maara woh tu ne daow ke dushman bhi gaey maan
Aey Qauid-e-Azam tera ehsaan hai ehsaan
Tera ehsaan hai, tera ehsaan!

Larrne ka dushmanoon se ajab dhang nikaala
Na toup, na bandooq, na talwaar, na bhaala
Sachaai ke anmol usoolon ko sambhaala
Jinnah tere paighaam mein jaadu tha niraala
Emaan waale chal parey sun kar tera farmaan
Aey Qauid-e-Azam tera ehsaan hai ehsaan
Tera ehsaan hai, tera ehsaan!

Punjab se, bangal se jawaan chal parey
Sindhi, balochi, sarhadi pathan chal parey
Ghar baar chor, be sar-o-saamaan chal parey
Saath apne muhaajir liye Quraan chal parey
Aur Qauid-e-Millat bhi chale hone ko qurbaan
Aey Qauid-e-Azam tera ehsaan hai ehsaan
Tera ehsaan hai, tera ehsaan!

Naqsha badal ke rakh diya is mulk ka tu ne
Saya tha Muhammad ka, Ali ka tere sar pe
Dunya se kaha tu ne, koi ham se na uljhe
Likha hai is zameen pe shaheedon ne lahu se
Azaad hain, aazaad rahenge yeh musalmaan
Aey Qauid-e-Azam tera ehsaan hai ehsaan
Tera ehsaan hai, tera ehsaan!

Hai aaj tak hamain woh qayaamat ki ghari yaad
Maiyyat pe teri cheekh ke ham ne jo ki fariyaad
Boli yeh teri rooh, na samjho isey bedaad
Islam zinda hota hai har karbala ke ba'ad
Gar waqt parey mulk pe hojaiye qurbaan
Aey Qauid-e-Azam tera ehsaan hai ehsaan

Yun di hamain aazaadi ke duniya huwi hairaan
Aey Qauid-e-Azam tera ehsaan hai ehsaan
Tera ehsaan hai, tera ehsaan
Tera ehsaan hai, tera ehsaan